Search This Blog

[Urdu] Qur'an, Soul of Heart by Shaykh Zulfiqar Ahmad

Saturday 16 November 2013

Hazrat Maulana Shaykh Zulfiqar Ahmad Naqshbandi Mujaddidi db Farmate Hein -: Quran Insanon Ke Dil Ke Lye Rooh Ki Manid He, Yaad Rakhiye Aik Hamare Jism Ki Rooh He Wo Bhi Allah Ka Amar He, Allah Tala Frmate Hein -:
"Jab Ye Rooh Aati He Jism Zinda Ho Jata He Jab Yeh Rooh Jati He Jism Murda Ho Jata He",

Bilkul Isi Trha Aik Hamare Dil Ki Bhi Rooh He Us Rooh Ka Naam Quran Azeem ul Shaan He, Allah Tala Farmate Hein -:
"Quran Ko ALLAH Ne Rooh Farmaya Yeh Dilon Ki Rooh He",

Jis Bande Ki Zindagi Mein Quran Ki Talemaat Ati Hein Yeh Quran Us Ke Dil Ko Zinda Kar Deta He Wo Zinda Dil Wala Insaan Hota He, Sahaba (R.A) Ke Dilon Mein Wo Rooh Utar Aai Thi, Wo Jahan Jate The Qamyabi Un Ke Qadam Chomti Thi, Rabi Bin Aamir r.a Ne Yahi To Kaha Tha Rustam Ke Darbaar Mein -:
"Hum Aye Hein Insanon Ko Insanon Ki Ghulami Se Nikal Ke ALLAH Ki Bandgi Sikhane Ki Khatir",

Jis Qoom Mein Quran Aa Jata He Qoom Zinda Ban Jati He, Jis Shakhs Mein Quran Aa Jata He Wo Shakhs Zinda Ho Jata He, Aaj Quran Ke Sath Wo Mohabbat Na Hone Ki Waja Se, Is Ki Tilawat Na Krne Ki Waja Se Aaj Hamare Dil Be-Rooh Ban Chuke, Hamare Seenon Ke Andar Dil Nahin Seenon Ke Andar Silh Mojood He, Chunke Batni Toor Per Hum Aaj Zinda Nahin, Hamari Nasihat Ka Asar Nahin Hota, Hamari Baat Koi Qabool Nahin Karta, Agar Hum Chahte Hein Hmein Zindagi Naseeb Ho To Hmein Chahiye Hum Quran e Majeed Ko Phir Apni Zindagiyon Mein Laago Krein, Is Ko Parhein Aur Is Ki Talemaat Ko Apni Zindigion Mein Laago Krein, Phir Dekhiye Allah Rabul Izzat Jis Trha Quran Muazzit He Issi Trha Hmein Bhi Izzaton Se Nawazein Ge. In Sha ALLAH

Shaykh Zulfiqar Ahmad Naqshbandi db

No comments:

Post a Comment

 

Most Reading